How to Secure Your Facebook Account

 
 
Aj ke samay me sayad hi koi aisa ho jisne facebook ka naam nahi suna ho. Lakho karodo log facebook se registered hai sayad ap v unme se ek ho. Agar aisa hai to ap har din ek na ek baar facebook jaroor open karty honge. chahe fir wo apne mobile se ya laptop se ya kisi cyber cafe mai , kavi chori chipe apne office mai v. aur kai baar to ap apna account logout karna hi bhul jatey hai aur agar tab apka account kisi ke hath lag jaye to ho gaya satyanash.
 
Doston, jahan ek aur digitalization badh raha hai to wahi dusri taraf digital world se data ko churane wale hackers v badtey ja rahe to. Aise mein agar mai ye kahun ki apka facebook account safe nahi hai to sayad ye galat nahi hoga. To sawal ye uthta hai ki fir kaise hum apna facebook account ko hackero se bacha ke rakh saktey h. To aaiye hum apko batate h ki kaise ap apna account hack hone se bacha kar 90% safe kr skty h.
 
1. Strong Password
 Aagar aap apne aap ko hackero se bachana chahtey h to ye apke liye sabse important baat hai. Apko hamesha apna password ka level strong rakhna chahiye. Kyuki Jyadatar hackers apke password ko asani s guess kr letey h. To sabse pahle apne password ko majboot bnaye iske liye aise password rakhiye jo apko yaad rakhne me asani ho aur number letter aur symbol ke combination se bna ho. Password badalne ke liye ap ye steps follow kr saktey h
 
Account Setting > Security setting > Change Password >> Change Password
 
2. Confirm Mobile Number
 Agar ap apne mobile number ko confirm kar lete hai to ap apne account ke safety ko kaafi had tak bada dete hain. Isliye apna mobile number confirm jarur karaye.   Agar apne av tak confirm nahi karay hai to aise karaye

Account Setting > Genral Setting > Phone > Add Phone Number
 
3. Activate Seccure Browsing
 Doston secure browsing ka matlab hai https://  ke  browsing karna. Bhut se logo ko pata nahi hai ki facebook secure browsing matlb https:// browsing ka v option deta hai. Secure browsing activate karne ke baad koi third party software apka data apke approval ya permission ke bina access nahi kr skta hai. Agar apne v facebook ke secure browsing ke bare mai pahli baar suna hai to aise activate kare 
 
Account Setting > Security Setting> Secure browsing >> Click on edit and check the box
 
4. Enable Login Approval

Login approval enable krke ap aone account bhut hi jyada secure kar skty hai. Chaliye mai apko phle login approval ke bare mai bata deta hu. Ye two step verification proccess hota hai. jaise ap apna facebook pe login karty ho to ap apna email/phone number/Userid dalte ho aur password , fir enter karty hi apka account khul jata h. Lekin login approval on krty hi apko sahi id aur password dalne ke baad ek code ayega apke phone pe jab ap wo daloge tavi apka account khulega.
To dosto ab to ap samajh hi gaye honge iska importance. Ab is setting ko on krne k liye aisa kijiye

account setting> security> Login approval

 

uske baad agar ap apna phone number verify karwa chuke honge to uspe ek msg ayga OTP wala us OTP ko dalte hi login approval on ho jayega. 
 

5. End Session
 
Dosto kavi na kavi ya aksaar hamare sath aisa hota ki hum cyber cafe ya school mai apna id khula chodkar bhul jatey h. Aise mai to koi v apka account access karke apka id ko barbad kr skta h. Ghabraiye mat, jab problem hota hai to solution v kuch na kuch hota hi hai. Ap apne facebook account ko kahi se v kisi v computer ya phone se aaram se logout kar skty hain. iske liye apko bs itna krna hoga sabse pahle ap kisi v computer mai ya phone tablet jo v ho apke passs usme login kr lijiye uske baad account settings opeen kijiye aur security pe click kijiye . usko open karne pe apko Active Sessions ka option dikhega uske side mai Edit v likha hoga uspe click kijiye. Uspe click kartey hi apko apka id jaha jaha login hai ya jaha jaha login hua tha wo sara list aa jayga. jaha se ap logout karna chahte h waha pe End Session pe click kijiye aur apka id waha se log out ho jayga. Ya fir ap logout end all session vkr skty hai usse apke currunt device ko chorkar baki har jagah se logout ho jayega.

Account Setting> Security> Active Session>>End Session
 
 
One More Step....
 
Doston ye baat to ho gayi apke settings se apka id secure karne ka. Ab ek savdhani apko baratni hogi ki ap kisi v link ko bina uske bare me jane open na kare chahe wo link apke kisi apno ne v kyu na bheja ho. Ap sabse phle us link ke bare mai jaan le tavi open kare. Agar apko link pe click krty hi login ka option aa rha to bhul kar v mat kijiyega iss4e apka id aur password dusre ke pass chala jayega. Aur dosto kosis krke third party app jaise fun app wagerah jo hota hai, jispe ap ye dkhty ho ki apka partner kon hai ya ap kab maroge , apka saccha dost kon hai ye sab jis link se dekhty ho uska kam se kam ya na hi istemal kare .
 
Ek baat aur  btana chahunga ki apka facebook id sirf apki galtiyon ke wjah se hack hoga. Agar apko id hack hone se daar lagta hai to ghabraiye nahi bas upar likhi hui baton ko follow kare apka id hack krna bhut mushkil ho jayega.
 
To kaise lagi apko aj ka post comment karke jarur btaye aur agar ap kuch aur v janna chahte ho to jarur comment krke btaye. Aur haan doston is blog ko apne doston ke sath share jarur kare taki apke dost v sukrakshit rah sake 

Popular posts from this blog

Create a simple and working virus using C++

What is Phising? Learn to Create a Phishing page

How to install YouTube, Netflix in Mi Smart Tv